Thursday, July 06, 2006

Wish

Apne hothon par sajaana chaahta hoon, aa tujhe main gun-gunana chahta hoon.

Koi aansoo tere daaman par girakar,boond ko moti banaana chaahta hoon.

Thak gaya main karte-karte yaad tujhko, ab tujhe main yaad aana chaahta hoon.

Chaa raha hai saari basti mein andhera,roshni ko ghar jalaana chaahta hoon.

Aakhri hichki tere zaano pe aaye , maut ko bhi shaayarana chaahta hoon.

Attitude

Badlaa na apne aap ko jo the vahii rahe,
Milte rahe sabhii se magar ajnabii rahe.

Duniyaa na jeet paao to haaro na khud ko tum,
Thodii bahut to zahen mein naaraazagii rahe.

Apni tarah sabhii ko kisii kii talaash thii,
Hum jiske bhii qariib rahe duur hii rahe.

Guzro jo baag se kabhi to duaa maangate chalo,
Jismein khile hain phool wo Daalii harii rahe.